honton par sahra rahta hai aankh mein khaara pani ek kinara aag hai mera ek kinara pani sukhe ped aur pyasi aankhen aasman ko dekhen mitti mein ja kar chhup baitha dhup ka mara pani chaak ki is gardish ne mah-o-sal lapet liye kuza-gar ki sari punji mitti gara pani aatish-gir masafat hai aur ek rista mashkiza kab tak sath rahega aakhir ye bechaara pani aankh ke bahte ashkon se hi pyas bujhani hogi hijr ke tapte sahra mein hai sirf sahaara pani kaun gali se guzrun aur main kaise tujh tak aaun basti sari daldal hai aur rasta sara pani sahra ko hai yaad abhi tak pyas ki fath-e-kaamil zulm ko kaise mat hui aur kaise haara pani