kyun masafat mein na aae yaad apna ghar mujhe thokaren dene lage hain rah ke patthar mujhe kis ka ye ehsas jaga dopahar ki dhup mein dhundne nikla hai nange panw nange-sar mujhe jis mein aasuda raha main wo tha kaghaz ka makan ek hi jhonka hawa ka kar gaya be-ghar mujhe main to in aalaishon se dur ek aaina tha aa laga hai meri apni soch ka patthar mujhe aa gaya tha main sitam ki bastiyon ko raund kar kya khabar thi khud nigal jaega apna ghar mujhe ab ana ki chaar diwari ko girna chahiye qaid kar rakkha hai apni zat ke andar mujhe 'fauq' sailab-e-gham-e-dauran baha kar le gaya dekhta hi rah gaya ek husn ka paikar mujhe