honton pe hansi aankh mein taron ki ladi hai wahshat bade dilchasp do-rahe pe khadi hai dil rasm-o-rah-e-shauq se manus to ho le takmil-e-tamanna ke liye umr padi hai chaha bhi agar hum ne teri bazm se uthna mahsus hua panw mein zanjir padi hai aawara o ruswa hi sahi hum manzil-e-shab mein ek subh-e-bahaaran se magar aankh ladi hai kya naqsh abhi dekhiye hote hain numayan haalat ke chehre se zara gard jhadi hai kuchh der kisi zulf ke sae mein thahar jaen 'qabil' gham-e-dauran ki abhi dhup kadi hai