yusufi gar nahin mumkin to zulekhai kar un se paida koi taqrib-e-shanasai kar pahle har gham ki mohabbat mein pazirai kar chaak phir daman-e-tamkin-o-shakebai kar ru-ba-ru un ke mera haal sunane wale apni jaanib se bhi kuchh hashiya-arai kar na tamanna na teri yaad na gham ho na khushi kabhi aisa bhi ata aalam-e-tanhai kar meri qismat mein hain patthar teri qismat mein hain phul apni shohrat se na andaza-e-ruswai kar sab mere haal-e-pareshan ka udate hain mazaq ai gham-e-dost meri hausla-afzai kar