honton pe mohr bhi nahin naghmat bhi nahin ai mehrban ye shahr-e-tilismat bhi nahin shahron mein gam gam pe lakhon guna sahi masum itne aaj ke dehat bhi nahin wo baithta hai shahar ke hotel mein aaj bhi mere nasib mein koi footpath bhi nahin ab zehn mein bhi qaus-e-quzah phutti nahin hathon mein mere aaj tera hath bhi nahin wo aae bhi to kis tarah doli mein baith kar dulha nahin hun main koi baraat bhi nahin sarma ki raat rail ka dibba udasiyan lamba safar hai aur tera sath bhi nahin