kanar-e-bahr hai dekhunga mauj-e-ab mein sanp ye waqt wo hai dikhai de har hubab mein sanp wo kaun tha mera ham-zad tu na tha kal raat jab us ke nam ko puchha kaha jawab mein sanp use mazahir-e-hasti se sakht ulfat thi mila wo shakhs chhupae hue naqab mein sanp guzishta raat mujhe padhte waqt wahm hua waraq pe harf nahin hain ye hain kitab mein sanp ye dhalti raat ye kamre mein gunjta sahra umadta khauf hai dil mein ki pech-o-tab mein sanp tamam jalwa-e-wahdat hai sham ho ki sahar hai jis hisab mein sahra usi hisab mein sanp