hosh jis waqt bhi aaega giraftaron ko khas ki manind uda dalenge diwaron ko zindagi karni hai tum ko to tadapna sikho zang lag jata hai rakkhi hui talwaron ko zakhm sine pe kisi ke nahin aaya ab tak aazmaya hai bahut qaum ke sardaron ko itne unche bhi na uttho ki sambhal bhi na sako hum ne girte hue dekha kai minaron ko buzdili hai ki ye nadani hai aakhir kya hai log ashkon se bujhane lage angaron ko wahi rishwat wahi ighwa wahi khabren 'irfan' hum to bin dekhe hi padh lete hain akhbaron ko