aaj baam-e-harf par imkan bhar main bhi to hun meri jaanib ek nazar ai dida-war main bhi to hun be-aman sae ka bhi rakh baad-e-wahshat kuchh khayal dekh kar chal darmiyan-e-baam-o-dar main bhi to hun raat ke pichhle pahar pur-shor sannaton ke beach tu akeli to nahin ai chashm-e-tar main bhi to hun tu agar meri talab mein phir raha hai dar-ba-dar apni khatir hi sahi par dar-ba-dar main bhi to hun teri is taswir mein manzar mukammal kyun nahin main kahan hun ye bata ai naqsh-gar main bhi to hun sun asir-e-khush-adai muntashir tu hi nahin main jo khush-atwar hun zer-o-zabar main bhi to hun khud-pasandi meri fitrat ka bhi wasf-e-khas hai be-khabar tu hi nahin hai be-khabar main bhi to hun dekhti hai jun hi paspai pe aamada mujhe ruh kahti hai badan se be-hunar main bhi to hun dasht-e-hairat ke safar mein kab tujhe tanha kiya ai junun main bhi to hun ai ham-safar main bhi to hun kuza-gar be-surati sairab hone ki nahin ab mujhe bhi shakl de is chaak par main bhi to hun yun sada deta hai akasr koi mujh mein se mujhe tujh ko khush rakkhe khuda yunhi magar main bhi to hun