hosh manzil kho ke manzil ka pata pate hain log tark-e-lazzat mein to kuchh lazzat siwa pate hain log dard ke maron ko hi dard-ashna pate hain log be-wafaon mein kahan bu-e-wafa pate hain log nutq qasir hai bayan se wo maza pate hain log mujh se puchho ishq mein gum ho ke kya pate hain log baad istighraq hath aai hai bas matlab ki baat dub kar gahre mein durr-e-be-baha pate hain log karte apne se badon ka hain jo dil se ehtiram rahte hain khush yun buzurgon ki dua pate hain log manzil-e-dar-o-rasan ho ya salib-e-sarfaraaz apne hi naqsh-e-kaf-e-pa ja-ba-ja pate hain log bhul kar khud ko khuda ki yaad mein hote hain mahw nakhuda ko bhi bhanwar mein ba-khuda pate hain log be-khudi mein raaz-e-dil kah dalte hain be-jhijak pine walon ko nashe mein parsa pate hain log chhanw ki dhup aur barish mein hai khulti ahmiyat sar chhupate hain jahan saya zara pate hain log khud mein aati hain nazar hirs-o-hawas ki bastiyan dida-e-bina kabhi jab apne wa pate hain log lutf-e-khas us ka samajh kar dil se karte hain qubul jo bhi dast-e-naz se achchha bura pate hain log lagta khali zehn shaitan ki dukan ho jis tarah ghar mein ghuste hain jo darwaza khula pate hain log qadr-o-qimat dard-e-dil ki ahl-e-dil se puchhiye dard ko darman-e-dard-e-la-dawa pate hain log jauhar-e-zati mohabbat zabt hai us ka shiar husn-e-khud-bin ko azal se khud-numa pate hain log khana-e-dil to mohabbat mein raha bagh-o-bahaar aur ghar honge jinhen wahshat-sara pate hain log dast-e-aqdas se jo hath aae ghanimat jaaniye bad-dua ko bhi buzurgon ki dua pate hain log bhai ko kar de juda bhai se roti kya ajab khane mein khud apne honton ko juda pate hain log us ka lutf-e-khas jo ye istitaat hai nasib bar-e-gham juz ibn-e-adam kya utha pate hain log chandni raaton mein mauj-e-ab-e-ju ke sath sath 'mahir'-e-khush-gu ko bhi naghma-sara pate hain log