koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta mere nakhl-e-tamanna pe samar aane nahin deta liye phirta hai mujh ko qarya qarya ku-ba-ku har dam magar sare safar mein mera ghar aane nahin deta mere khun se jalata hai charagh-e-shahr-e-ahl-e-zar mere hi ghar ke aangan mein sahar aane nahin deta khilata hai wo dil mein nit-nae gul aarzuon ke magar honton talak is ki khabar aane nahin deta jidhar bhi dekhta hun main nazar aata hai bas wo hi mujhe apne alawa kuchh nazar aane nahin deta khula rakhta hai mere samne aflak ka manzar magar kuchh soch kar wo mere par aane nahin deta khudaya waqt ke us par kya asrar hain pinhan musafir ko kabhi to laut kar aane nahin deta main jaana chahta hun par meri majburiyan 'imrran' wo aana chahta hai koi dar aane nahin deta