hosh mein aa ki be-khabar daur-e-junun guzar gaya wo na ab us ki rahguzar daur-e-junun guzar gaya khinchte the shabab mein ashhab-e-waqt ki zamam shauq jawan hai magar daur-e-junun guzar gaya shana-e-fikr laya hun chhin ke hadsat se gesu-e-zindagi sanwar daur-e-junun guzar gaya chahne wale sab tere naf-o-zarar ke ho gae kyon na uthi teri nazar daur-e-junun guzar gaya mauj-e-bala guzar gai kuchh to sukun ka sans len phir se banaen apna ghar daur-e-junun guzar gaya sahl ho ya kathin ho rah aao ab is pe chal paden hat mein hat ham-safar daur-e-junun guzar gaya aql ki chandni se ab dur talak hai raushni dhund ke la nai sahar daur-e-junun guzar gaya