aankh jab saqi pe dali jaegi phir tabiat kya sanbhaali jaegi chutkiyan lene ki wo karte hain mashq shokhiyon mein jaan dali jaegi kyon pareshan kar rahi hai bagh mein bu-e-gul tujh se saba li jaegi hum idhar hain samne hai aaina aankh kis kis par nikali jaegi phul kaise mar-miton ki qabr par khak bhi tum se na dali jaegi dekhne hi ko hai bas saqi ki aankh mai na is saghar mein dali jaegi dam nikal jaega hasrat se mera tegh qatil ki jo khali jaegi dil agar tuta to phir be-kar hai zulf bigdegi bana li jaegi kyon gale milti nahin wo tegh-e-naz id kya ab ki bhi khali jaegi koi kahta hai ki 'safdar' ye ghazal nur ke sanche mein dhaali jaegi