hosh mein aa zindagi tu ne ghalat samjha mujhe

hosh mein aa zindagi tu ne ghalat samjha mujhe
de nahin sakti kisi manzil pe bhi dhoka mujhe

mere afsane ko phir unwan mein uljha diya
aap ne apni taraf kyon dekh kar dekha mujhe

aur to har tarah takmil-e-parastish ho chuki
sirf apne samne karna hai ek sajda mujhe

zindagi ki uljhanen ab bhi sulajh jaen tamam
ek zara mera nafas gar chhod de tanha mujhe

yaad aa jati hai apne waqt ki be-ikhtiyar
jab nazar aata hai koi waqt ka mara mujhe

dub mar ai zindagi ye kya tere hote hue
maut aai hai batane ke liye rasta mujhe

umr-e-rafta hai ye na-mumkin tujhe aawaz dun
aaj tak tu ne palat kar bhi kabhi dekha mujhe

waqt ke hamrah main duniya se aage badh gaya
ai 'shifa' aawaz deti rah gai duniya mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close