hosh mein aaen to kya hosh mein aae na bane be-khudi apni wo parda ki uthae na bane chaak-e-dil chaak-e-jigar chaak-e-gareban mat dekh mujh se yun lut ke tere samne aae na bane na-umidi ka sukun bhi meri qismat mein nahin sham-e-umid bujhaun to bujhae na bane hum to nakaam palat aaen pa ai jaan-e-hayat na-muradana teri bazm se aae na bane hae wo lauh-e-jabin aur wo tahrir-e-wafa kis tarah us ko bhulaun ki bhulae na bane apni nakaam mohabbat pe pasheman hun 'payam' zist se aankh milaun to milae na bane