hazar hum par sitam karenge hazar jaur-o-jafa karenge na hum ne tark-e-wafa kiya hai kabhi na tark-e-wafa karenge nahin hain aasan wafa ki rahen qadam qadam hai nai qayamat khirad kahan apne kaam aai junun ko ab rahnuma karenge na koi dushman bujha sake hain na koi aandhi bujha sakegi charagh ulfat ke is jahan mein jala kiye hain jala karenge yahi parastish hai ab hamari yahi hai ab bandagi hamari jahan bhi hon zulf-o-rukh ke sae wahin pe sajde kya karenge hai dushmanon se bhi pyar hum ko ki dosti hai shiar apna bichhaenge rah mein jo kante hum un ke haq mein dua karenge nahin ye aish-o-tarab ki mahfil maqam-e-jahd-o-amal hai duniya unhin ko jine ka haq milega jo zist ka haq ada karenge 'payam' nakaam hain to kya hai nahin hai fitrat mein na-umidi karam ki ummid par hai jina kabhi to mehr-o-wafa karenge