hosh-o-hawas aql-o-khirad fan samet kar le jao tum hamari ye uljhan samet kar main ne jahan rakha tha sabhi dhan samet kar baitha hua hai nag wahan phan samet kar ji bhar ke roya shisha-e-dil saf ho gaya gard-o-ghubar le gaya sawan samet kar ujdi hui hai kutiya meri hae hae hae raunaq tamam le gai jogan samet kar barsat aai aa ke ai 'mazhar-mujahidi’ diwar-o-dar ka le gai roghan samet kar