hosh-o-hawas-o-aql se begana nahin hun be-shak junun mein gharq hun diwana nahin hun wahshat se meri khauf na kha aa qarib aa mujh par tera khumar hai mastana nahin hun mujh mein na tum talash karo mai-kashon sukun main rind-e-bala-nosh hun mai-khana nahin hun nadan samajh ke mujh pe inayat hai is qadar achchha hai nigah-e-yar mein farzana nahin hun chup hun ki aap aaj bhi mujh ko aziz hain sazish se warna aap ki an-jaana nahin hun 'tashna' hun mujh se rakh na tawaqqo tu faiz ki shisha to dur saghar-o-paimana nahin hun