soz-e-darun se jal-buhjo lekin dhuan na ho hai dard-e-dil ki shart ki lab par fughan na ho phir ho raha hai shor-e-sala-e-nabard-e-ishq han ai dahan-e-zakhm jawab al-aman na ho bazar-e-jaan-farosh mein sauda na ho ye kya gahak mile to jins to ye bhi garan na ho is dard-e-la-jawab ki kyunkar karun dawa wo haal-e-dil-nashin bhi to mujh se bayan na ho kya faeda gar us ne chhupaya bhi dard-e-dil ye kaam jab bane ki mizha khun-chakan na ho kya kije chun ke maida-e-dil ko lakht lakht tera hi tir sine mein jab mehman na ho khauf-e-raqib ka to ye aalam aur us pe ishq sab chahte hain chah ka un par guman na ho hai wasl-e-yar ki bhi tamanna ka hausla dar ye bhi hai ki taba-e-adu par giran na ho pahlu se dil ko le ke wo kahte hain naz se kya aaen ghar mein aap hi jab mezban na ho sunte hi jis ke khalq se kohram mach gaya 'jauhar' wo teri hi to kahin dastan na ho