hosh-o-khirad se aap hi begana ho gaya utthi nigah-e-naz main diwana ho gaya duniya mein rah ke kis ka kare koi eatibar jab apna dil hi aap se begana ho gaya un ki nazar ka faiz hai bas aur kuchh nahin farzangi mein koi jo diwana ho gaya sar un ke aastane pe jhukta nahin hai ab andaz-e-bandagi bhi gadayana ho gaya un ki nawazishon ka ujala kaho use jo anjuman mein jalwa-e-jaanana ho gaya saqi ki chashm-e-naz ka allah re ehtiram nazron mein sara mai-kada paimana ho gaya 'anjum' nahin tha kuchh bhi siwa dil ke mere pas ab dekhiye use bhi to diwana ho gaya