khar-o-gul par nikhaar aa jae yun chaman mein bahaar aa jae muskura is tarah ai jaan-e-wafa zindagi mein bahaar aa jae tum na aao to koi khat hi sahi kuchh to dil ko qarar aa jae hans ke dekho na bar-bar mujhe mujh ko khud par na pyar aa jae guftugu ho ba-tarz-e-shaista jo sune eatibar aa jae mausam-e-gul hai bazm mein 'anjum' kash wo mushk-bar aa jae