hosh-o-KHirad se dur hun sud-o-ziyan se dur

hosh-o-khirad se dur hun sud-o-ziyan se dur
diwana hun quyud-e-rusum-e-jahan se dur

hadd-e-nazar se dur zaman-o-makan se dur
manzil hai mere ishq ki fahm-o-guman se dur

rangini-e-jamal se sahra bhi hai chaman
baitha hun gulsitan mein magar gulsitan se dur

ye be-khudi-e-shauq ka aalam to dekhiye
sajde to kar raha hun magar aastan se dur

dil bhi wahi hai main bhi wahi dard bhi wahi
lekin ye kya ki lazzat-e-soz-e-nihan se dur

shayad usi ka nam hai nakaami-e-murad
manzil se hun qarib magar karwan se dur

afsana-e-hayat ko samjho to ai 'saba'
har harf dastan hai magar dastan se dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close