'hosh' us par kisi ka bas na chala waqt jab aa gaya to phir na tala soz-e-baatin ke hain ye sab jalwe aag raushan hai le charagh jala na chala dil pe zindagi ka fareb sakht loha is aanch se na gala kah raha tha gada-e-rah-nashin jo bhala tha hua usi ka bhala wo mera muddaa samajh ke rahe zabt-e-fariyaad se na kaam chala raaz-e-hasti na khul saka us par dil jo apni hi aag mein na jala kya bahaaron ka eatibar ai 'hosh' har-nafas tak mein hai barq-e-bala