tirgi mein bhi raushni hoti

tirgi mein bhi raushni hoti
dil ko hasil agar khushi hoti

ek nazar mujh ko dekh lete to
dard mein kuchh na kuchh kami hoti

aap jalwa agar na dikhlate
mere ghar mein bhi tirgi hoti

doston ki taraf se thi ummid
kash un se bhi dushmani hoti

mera arman pura ho jata
baat un se agar kabhi hoti

rah-e-gham manzil-e-mohabbat mein
un ki surat bhi ajnabi hoti

'shad' wo chahte to mumkin tha
apne ghar mein bhi raushni hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close