hota nahin zauq-e-zindagi kam buniyaad-e-hayat hai tera gham ehsas-e-jamal ubhar raha hai jab se tera iltifat hai kam tere hi ghamon ne mujh ko bakhshi kaunde ki lapak ghazal ka ram saman-e-sabaat hain safar mein ummid ki pech rah ke kham shamon ki lawen hain ya zabanen aansu hain ki ehtijaj-e-paiham anjum se khilaegi shagufe shabnam se ladi hui shab-e-gham tufan ka muntazir khada hai ye ain sahar ko shab ka aalam