hote hote chashm se aaj ashk-bari rah gai aabru bare teri abr-e-bahaari rah gai aate aate is taraf un ki sawari rah gai dil ki dil mein aarzu-e-jaan-nisari rah gai hum ko khatra tha ki logon mein tha charcha aur kuchh baat khat aane se tere par hamari rah gai tukde tukde ho ke ud jaega sab sang-e-mazar dil mein baad-az-marg kuchh gar be-qarari rah gai itna miliye khak mein jo khak mein dhunde koi khaksari khak ki gar khaksari rah gai aao gar aana hai kyun gin gin ke rakhte ho qadam aur koi dam ki hai yan dam-shumari rah gai ho gaya jis din se apne dil par us ko ikhtiyar ikhtiyar apna gaya be-ikhtiyari rah gai jab qadam us kafir-e-bad-kesh ki jaanib badhe dur pahunche sau qadam parhez-gari rah gai khinchte hi tegh ada ke dam hua apna hawa aah dil mein aarzu-e-zakhm-e-kari rah gai aur to gham-khwar sare kar chuke gham-khwargi ab faqat hai ek gham ki gham-gusari rah gai shikwa ayyari ka yaron se baja hai ai 'zafar' is zamane mein yahi hai rasm-e-yari rah gai