banda-parwar aap ki to zindagi aabaad hai aap ko is se gharaz kya gar koi barbaad hai hai ijazat aap to mashk-e-sitam farmaiye hum gharibon ka kaleja ba-khuda faulad hai apna apna hai muqaddar apna apna hai nasib hai koi aabaad duniya mein koi barbaad hai khun insan ka bahate hain jo pani ki tarah aise logon ki badaulat gulistan barbaad hai kis qadar mushkil hai khul kar sans lena bhi yahan sirf kahne ke liye apna watan aazad hai naujawan hathon mein hai is mulk ki taqdir ab naujawan hathon ke dam se mulk ye aabaad hai titliyon ke pichhe pichhe daudna wo har taraf aaj tak hum ko ladakpan ka zamana yaad hai kis qadar rangi zamana tha wo bachpan ka 'mukesh' kuchh tumhein bhi yaad hoga kuchh mujhe bhi yaad hai