hote khuda ke us but-e-kafir ki chah ki itni to baat mujh se hui hai gunah ki soz-e-darun kiya jo mera shama ne bayan jal kar zaban kat li mere gawah ki bharta hai aaj khub tarare samand-e-naz qumchi hai un ke hath mein zulf-e-siyah ki dekha huzur ko jo mukaddar to mar gae hum mit gae jo aap ne maili nigah ki furqat mein yaad aae jo lutf-e-shab-e-visal ek aah bhar ke jaanib-e-gardun nigah ki sunsan kar diya mere pahlu ko le ke dil zalim ne lut kar meri basti tabah ki wo mujh se kah rahe hain ishaaron mein dekhna sab tad jaenge sar-e-mahfil jo aah ki hum wo the dil hi dil mein kiya zabt-e-raaz-e-ishq sadme utha ke mar gae munh se na aah ki afsos hai ki main to phirun dar-ba-dar kharab tum ko khabar na ho mere haal-e-tabah ki 'jauhar' khuda ke fazl se aisi ghazal kahi shohrat mushaire mein hui wah-wah ki