kaun si baat teri hum se uthai na gai par jafa-ju teri ye nit ki ladai na gai na kaha tha ki tu qatil ho mera main maqtul sarnawisht apni kisi hi se mitai na gai qasd har chand kiya sikhne ka bulbul ne waza nale ki meri us se udai na gai dil-e-sozan ki 'jahandar' tere ta-ba-falak kaun si aah thi jo misl-e-hawai na gai