hoti hai garche kahne se yaro parai baat par hum se to thambe na kabhu munh par aai baat jaane na tujh ko jo ye tasanno tu us se kar tis par bhi to chhupi nahin rahti banai baat lag kar tadrau rah gae diwar-e-bagh se raftar ki jo teri saba ne chalai baat kahte the us se miliye to kya kya na kahiye lek wo aa gaya to samne us ke na aai baat ab to hue hain hum bhi tere dhab se aashna wan tu ne kuchh kaha ki idhar hum ne pai baat bulbul ke bolne mein sab andaz hain mere poshida kab rahe hai kisu ki udai baat bhadka tha raat dekh ke wo shoala-khu mujhe kuchh ru-siyah raqib ne shayad lagai baat aalam siyah-khana hai kis ka ki roz-o-shab ye shor hai ki deti nahin kuchh sunai baat ek din kaha tha ye ki khamoshi mein hai waqar so mujh se hi sukhan nahin main jo batai baat ab mujh zaif-o-zar ko mat kuchh kaha karo jati nahin hai mujh se kisu ki uthai baat khat likhte likhte 'mir' ne daftar kiye rawan ifraat-e-ishtiyaq ne aakhir badhai baat