jo pari bhi ru-ba-ru ho to pari ko main na dekhun meri aankhen band kar do ki kisi ko main na dekhun dil-e-garm khun-e-ulfat mere bar mein rakh diya hai su-e-gul to multafit hun jo kali ko main na dekhun mera dil laga hai jis se mera ji gaya hai jis par meri kyun-ki zindagi ho jo usi ko main na dekhun meri tujh se zindagi hai to mera jigar hai ji hai kise dekh kar jiyun phir jo tujhi ko main na dekhun meri kyun-ki ho tasalli tu hi 'mushafi' bata phir dil-e-shab bhi us sanam ki jo gali ko main na dekhun