hoti hai labon par khamoshi aankhon mein mohabbat hoti hai jab un se nigahen milti hain us waqt ye haalat hoti hai rangini-e-bazm-e-duniya mein aisa bhi zamana aata hai wo dard qaza ban jata hai jis dard mein rahat hoti hai ye tujh pe falak ne zulm kiya wo mujh se juda main un se juda khushiyan to manao ahl-e-jahan barbaad mohabbat hoti hai aate hain wo sair-e-gulshan ko kanton se bachae daman ko honton pe tabassum hai un ke aankhon se shararat hoti hai dekha hai hamari aankhon ne ye baat haqiqat hoti hai har shakhs mehrban hota hai jab us ki inayat hoti hai tanhai ke aalam mein aksar dil us se bahalta hai 'shewan' tariki-e-sham-e-hijran mein gham ki bhi zarurat hoti hai