bosa dete ho agar tum mujh ko do do sab ke do jibh ke do sir ke do rukhsar ke do sab ke do le ke do rukhsar ke bose jo mange sab ke do aur to de denge bole par ye hain be-dhab ke do mangte tujh se nahin ai gul-badan kuchh aur hum hai agar taufiq tum bose do nam-e-rab ke do rozon mein gar pas apne aae wo rashk-e-qamar bosa hum iftar ko mangen lab-e-atyab ke do misal-e-yusuf ho raha hun main asir-e-chah-e-gham bosa ai rashk-e-zulekha do mujhe abab ke do main nahin hun mangta das bis tum se ya pachas sirf do bosa lab-e-shirin ke hans kar ab ke do hai khushi ye aap ki ai mah-ru do ya na do kaun kahta hai ki tum bose kisi se dab ke do do do kar ke bosa-e-mauud jab main ne gine hans ke puchha hain ikatthe ye kiye kab kab ke do tab kaha main ne ki sun lo sher mein kya sharm hai subh ke do sham ke do din ke do aur shab ke do donon rukhsaron ke bose lenge hum ai sim-tan do hamein is dhab ke do tum aur do is dhab ke do 'mashriqi' mashuq do pachchhim ke mahfil mein ho gar do deccan ke chahiyen uttar ke do purab ke do