hoti hai un ki hum pe inayat kabhi kabhi aati nazar hai chand si surat kabhi kabhi ghairon ke mashware ke liye waqf raat din mujh se magar hai milne ki fursat kabhi kabhi ghusse mein un ko dekh ke mujh ko guman hua aati hai is tarah bhi qayamat kabhi kabhi wade wo hum se tod ke ghairon ke ho gae aati to hogi dil mein nadamat kabhi kabhi didar un ka chashm-e-zadan mein hua to hai taqdir se wo aai hai saat kabhi kabhi chhup jaana un ka sharm se chilman ki aad mein badnam yun bhi karti hai ulfat kabhi kabhi ulfat pe marne walon pe roti hai bekasi dekhi hai hum ne aisi bhi niyyat kabhi kabhi 'rahi' ab un se shikwa-e-bedad kar to lo hoti hai dil-jalon ko shikayat kabhi kabhi