ho jaega mujhe bhi nazara kabhi kabhi

ho jaega mujhe bhi nazara kabhi kabhi
aaya karo idhar bhi khudara kabhi kabhi

hasrat rahi ye dil mein ki ho jae dosto
ulfat bhari nazar ka ishaara kabhi kabhi

chupke se hum ne baada-e-zahrab pi liya
ye ishq mein kiya hai gawara kabhi kabhi

hoti rahi hain gharq kinare ye kashtiyan
maujon mein bhi mila hai kinara kabhi kabhi

ghabra ke nabz-e-gardish-e-dauran thahar gai
jis waqt hum ne un ko pukara kabhi kabhi

hasrat se har kisi ki taraf dekhta hun main
aata hai jab khayal tumhaara kabhi kabhi

'rahi' khafa hain hum se wo lekin karam ye hai
rakhte hain wo khayal hamara kabhi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close