hoti hain jal se jaise nadiyon ki izzaten

hoti hain jal se jaise nadiyon ki izzaten
sidq-e-maqal se hain yaron ki izzaten

jin ko mere nabi ki khalwat hui ata
afzal hain bastiyon se ghaaron ki izzaten

sajde mein sar kata ke karbal ki ret par
shabbir ne badhain sajdon ki izzaten

dekho zara tamasha jhuton ke jhund mein
nilam ho rahi hain sachchon ki izzaten

baithe na hote phir se ayyar takht par
hotin agar watan mein achchhon ki izzaten

us shahr ke badon par kutton ko chhod do
lutti hon jis nagar mein bachchon ki izzaten

hijrat ki rah par hun paltunga jit kar
qaem rahin 'zafar' jo rahon ki izzaten


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close