hum uske dhyan mein aaenge dhyan mein bhi na tha

hum us ke dhyan mein aaenge dhyan mein bhi na tha
yaqin ka zikr to kya hai guman mein bhi na tha

ye past thi bhi to kya wo buland tha bhi to kya
zamin ka husn magar aasman mein bhi na tha

wo saya jis ke liye dhup se gurez kiya
nishan us ka kahin saeban mein bhi na tha

thaki thaki si chhaten thin shikasta diwaren
salamti ka to imkan makan mein bhi na tha

parinde phir bhi faza mein the par samete hue
'zafar' mukhil koi un ki udan mein bhi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close