hua chale ya ruke khushnuma saman ho jae ye sat rang ka aanchal jo baadban ho jae sulag raha hun kai din se apne kamre mein daricha kholun to duniya dhuan dhuan ho jae badal ke nam suna rakkhi hai use har baat ye ek baat bata dun to raaz-dan ho jae main apne aap ko chhod aaya hun kahin pichhe kuchh aur tez chalun main to karwan ho jae yahin kahin wo mere sath tha main sochta hun yahan ghadi do ghadi koi saeban ho jae ye intishaar hai tartib-e-nau na jaan ise ki kaenat ki har shai yahan wahan ho jae sarishk-e-gham ko tabassum ki sip mein rakhiye ki raaz raaz rahe haal-e-dil bayan ho jae paron pe titli ke paigham likh ke bhejun main hawa ka jhonka kisi din khabar-rasan ho jae jahan ki rit hai kohram machne lagta hai kisi ko ishq ho ya marg-e-na-gahan ho jae abhi to jism mera dhup ki aman mein hai parae sae mein aa kar na be-aman ho jae hai is jahan ki har baat aam si lekin jo sachche sher mein dhal jae dastan ho jae