rakhe hai rang kuchh saqi sharab-e-nab aatish ka muqattar kya kiya le kar gul-e-shadab aatish ka mere ye garm aansu ponchh mat dast-e-nigarin se ki un aankhon se rahta hai rawan sailab aatish ka tah-e-mizhgan nihan rakhte hain hum lakht-e-dil-e-sozan yahan khashak mein rakkha hai akhgar dab aatish ka nigah-e-garm se us ki dil-e-betab ru-kash hai harif aakhir hua ye para-e-simab aatish ka jo sail-e-ashk o aah-e-garm ko tuk dijiye rukhsat nishan dariya ka gum ho nam ho nayab aatish ka shakeb o tab o hosh o sabr soz-e-gham se sab sulga hua toama gharaz apna tamam asbab aatish ka araq us shola-gun aariz pe kya suna-e-ilahi hai nahin dekha hai hum ne rabt baham aab aatish ka