hua hai mujh pe kuchh aisa asar us ke tabassum se hua gulzar hai mera safar us ke tabassum se wo halki muskurahat aur kinare pe wo kala til nahin hatti zamane ki nazar us ke tabassum se yaqin hai mujh ko us ka koi bhi sani nahin hoga hua nayab hai wo is qadar us ke tabassum se bachae dubne se ab koi khud ko bhala kaise bane jo gal par qatil bhanwar us ke tabassum se kabhi puchhen agar ahl-e-jahan jo us ke bare mein kahunga main ki hoti hai sahar us ke tabassum se