tamir-e-nau qaza-o-qadar ki nazar mein hai aaj ek zalzala sa har ek baam-o-dar mein hai kitne charagh umid ke jal jal ke bujh gae kya jaane kitni der tulu-e-sahar mein hai har ek hai su-e-manzil-e-jaanan rawan-dawan har zarra kaenat ka paiham safar mein hai gum-karda rah ho ke bhi un se hue na dur gum-gashtagi bhi hai to usi rahguzar mein hai aai kahan se dair-o-haram mein ye raushni meri jabin ka nur mere sang-e-dar mein hai guzri rawish rawish mein jalati hui charagh shan-e-khiram-e-yar nasim-e-sahar mein hai tum jo nahin to ghar mein wo ab baat hi nahin diwar-o-dar ki baat to diwar-o-dar mein hai dil bhi dhadak raha hai nigahen bhi dar pe hain ek khas lutf wada-e-na-mo'tabar mein hai dar hai kahin mujhi ko ye pahle dubo na de tufan-e-iltija jo meri chashm-e-tar mein hai sahil tak aai mauj ye kah kar palat gai jine ka lutf zindagi-e-pur-khatar mein hai khanjar-ba-kaf hai ye to wo khanjar-dar-astin itna sa farq rahzan o rahbar mein hai aai jigar-figar hawadis ke faiz se shokhi jo in dinon mere khun-e-jigar mein hai ahl-e-hunar ke dil mein dhadakte hain sab ke dil sare jahan ka dard hamare jigar mein hai ifsha-e-raaz-e-dil to bada aib hai magar ho gar adab ke sath to dakhil hunar mein hai aankhon mein be-hunar ki khatakta hai ban ke aib ye ek ajib baat kamal-e-hunar mein hai hota hai bazm-e-ghair mein bhi ab jo zikr-e-khair koi to baat 'fazli'-e-ashufta-sar mein hai