hua hai na hoga zamana kisi ka uthana kisi ko girana kisi ka kai rahnuma the alawa bhi dil ke magar hum ne kahna na mana kisi ka talluq kahan zindagi se hamara taaruf hai bas ghaebana kisi ka muqaddar hi awwal muqaddar hi aakhir na pani kisi ka na dana kisi ka jo baqi bachenge wo kaise jiyenge agar ho hi jae zamana kisi ka bina wajh-e-azmat nazar mein sabhi ki jo kirdar tha mujrimana kisi ka zamane ko bardasht hota nahin hai naya koi pauda lagana kisi ka bahut dard deta hai 'parwez' 'akhtar' musalsal hamein aazmana kisi ka wahan par hain 'parwez' ab hum jahan par na aana kisi ka na jaana kisi ka