hai dil todna teri fitrat suna main aur is ki koi had na muddat suna main wale ibtida jaan kar pesh apni mohabbat ki hai ye shariat suna main talashi mein sara jahan ghumta hun ki jab se jamal-e-mohabbat suna main jo dekha to jaana qayamat hai kya shai jahan se bahut teri babat suna main ye rangat ye khushbu ye baadal ye jharne ye sab hainge teri alamat suna main ajal se kabhu sikh pabandi-e-waqt nahin deti ek pal ye mohlat suna main bahut khwar phirti hai dar dar farasat bahut aish mein hai jihaalat suna main badi kashmakash mein hun mere azizo mohabbat ki bahna hai nafrat suna main na kuchh farq aaya jahan ke chalan mein bahut son suna teri wahshat suna main kabhu aa ke 'parwez' yan bhi suna ja hai sheron mein tere matanat suna main