hua kare jo andhera bahut ghanera hai kisi ki zulf tale har samay sawera hai hikayat-e-lab-o-rukhsar mein guzar den waqt jahan mein sirf ghadi do ghadi basera hai jalao ghar ki munderon pe chashm-o-dil ke diye bahao git birah ke bahut andhera hai wo mohtasib ho ki shahna ki mufti-o-qazi hamara koi nahin hai har ek tera hai mere dimagh ke khannas ne pasand kiya khandar ke haft-balaon ka jis mein dera hai main barg-e-zard hun shayan-e-iltifat nahin hasin gul ko hasin titliyon ne ghera hai