rakh diya hai aadmi ne aaine par aaina dekh kar insan ko hai aaj shashdar aaina pyas aansu dard-o-gham hain sab mere bhitar chhupe hans diya hai asliyat mujh ko dikha kar aaina dekhna jo chahta main dekhta mujh ko wahi sach nahin ye hai dikhata sach mujhe har aaina lakh main duniya ko dhoka dun lagata hai magar asl chehra samne lane mein pal bhar aaina sang-dil ki fitraton se aaina anjaan hai kash yun hota ki hota ek patthar aaina dekh kar apna hi chehra khud pe hota hai ghurur yun lage karta ho jaise jadu-mantar aaina reza reza kis tarah ye zindagi bikhri 'rajat' raaz mere jaanta hai mera dilbar aaina