hua karega har ek lafz mushk-bar apna abhi sukun se kiye jao intizar apna utha liya hai halaf garche jaan-nisari ka mujhe sambhaal ki hota hun bar bar apna udas aankh ko hai intizar fasl-e-murad kabhi to mausam-e-jaan hoga sazgar apna tumhaare dar se uthae gae malal nahin wahan to chhod ke aae hain hum ghubar apna bahut buland hui jati hai ana ki fasil so hum bhi tang kiye jate hain hisar apna har ek charagh ko hai dushmani hawa ke sath bechaari le ke kahan jae intishaar apna