mausam badal sake na tere intizar ke ab ke bhi din guzar gae yunhi bahaar ke gham-khez-o-gham-shanas meri pur-shikoh raat kab aaogi pahad sa ye din guzar ke aaya huzur-e-yar se shair ko ye payam aae sharab-o-sher ka chogha utar ke dil mein tere utar na saki meri koi baat likkhe hain lakh sher ghazal ke sanwar ke ek musht-e-khak ban ke uda dil ka karwan dasht-e-talab mein ab bhi nishan hain ghubar ke