hua na zor se us ke koi gareban chaak agarche maghribiyon ka junun bhi tha chaalak mai-e-yaqin se zamir-e-hayat hai pur-soz nasib-e-madrasa ya rab ye aab-e-atish-nak uruj-e-adam-e-khaki ke muntazir hain tamam ye kahkashan ye sitare ye nil-gun aflak yahi zamana-e-hazir ki kaenat hai kya dimagh raushan o dil tera o nigah bebak tu be-basar ho to ye mana-e-nigah bhi hai wagarna aag hai momin jahan khas o khashak zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-rah kise khabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak jahan tamam hai miras mard-e-momin ki mere kalam pe hujjat hai nukta-e-laulak