zakhm dil par laga nahin hota haal aisa hua nahin hota zikr-e-jaanan hua nahin hota zakhm-e-dil phir hara nahin hota chain se zindagi basar hoti rog dil ka laga nahin hota kuchh na kuchh baat ho gai warna dilruba bewafa nahin hota uns ikhlas aur wafadari dil mein shair ke kya nahin hota dasht-o-sahra mein gar nahin phirte panw mein aabla nahin hota tum se shikwa hai bewafai ka sab se to ye gila nahin hota zulm badhta hai roz zalim ka khatm ye silsila nahin hota chaar aankhen nahin hui hotin pyar ka hadisa nahin hota yaad aati na hum ko jaanan ki jam gham ka bhara nahin hota adl ke beach koi hail hai kyon koi faisla nahin hota kahkashan chand titliyan jugnu zikr-e-jaanan mein kya nahin hota rab ko be-shak pukarte hain hum jab koi aasra nahin hota haar jata hun main ana se 'zaki' sar ye kyon marka nahin hota