hua raushan dam-e-khurshid se phir rang pani ka damak uttha hai mere aaine par zang pani ka muqayyad rang khilte hon kisi billor se jaise khula is tarah mere khwab par arzang pani ka kisi anjaan khushbu se tabiat sair hai us ki agarche qafiya kuchh roz se hai tang pani ka satata hai jo dasht-e-na-muradi ke asiron ko wo tara us hasin ke samne hai dang pani ka bahut hi yaad aata hai koi bachhda hua mujh ko kabhi jab samna karta hun shokh-o-shang pani ka abhi fursat nahin hai kar-e-duniya mein ulajhne ki magar tabdil kar sakta hun main bhi dhang pani ka bahut din se main 'sajid' darmiyan hun apne pyaron ke ki thanda pad chuka hai ab mahaz-e-jang pani ka