nidar bhi zat mein apni hun khud se khaif bhi lahu mein mere hira bhi hai arz-e-taef bhi yahi nahin ki farishta na chhat pe utra koi pahunch sake na falak tak mere wazaif bhi pukarti hai mujhe tere nam se duniya badal ke rakh diye tu ne mere kawaif bhi bharam aziz tha tera so teri jaanib se kharid laya hun apne liye tahaif bhi kiya hai sath hamare jo zindagi ne 'munir' rawa rakhe na kisi se koi tawaif bhi